Ab jab raja hun main apni kahanion ka,
Ik wafadar ke naam pe mujhe kalam mili.
Mera or kalam ka sath kayi saalo ka hai,
Na jane kaise ab teri wafadar ho gyi.
Jab likha maine tera naam to kehne lagi ruk ja ab ik mukaam aya hai,
Tu jise chahta hai ab uska naam aya hai.
Hum kalam rakhte hain,
Or likhne ka dam bhi rakhte hain.
Keh de ge jo dil mein hai,
Hum ishq-e-jazbaat bhi rakhte hain.
Darr nhi lagta kisi se,
Hum nasha-e-sharab rakhte hain.
Pyar hai tumse ye bekhauf keh sakte hain,
Hum ishq-e-elaan pe vishavas rakhte hain.
Ek kahani si ho tum jo main sab ko sunata hun,
Kaise mujhe pyar hua ye sab ko batata hun.
Dikhne mein tum ho ek pari si sab ko dikhata hun,
Or seerat se mariyam ho ye ehsaas dilata hun.
Aj mujh ko tumhe pyar karne se fursat nahi ye sab ko jatata hun.
Use de du main apni sari zindagi to kam hai bas yahi ik baat lafzo mein keh nhi pata hun.